Har taklif seh lenge hum...
Dard Ke ghoot pi lenge hum..
Hame to chahiye sirf apki khushi..
Aapki khushi Ke liye khud ko dard de denge hum..
Dil se chaha hai aapko, aap rishta mat nibhao.. Hamesa rishta nibhate rahenge hum...
Chahe hum pe bharosa mat karo.. Bharosa diya hai humne.. Bharosa nibhate rahenge hum...
Bahot taklif di hai humne aapko..
Jitni bhi taklif di hai uska badla khud se le lenge hum...
Bahot dard diya hai hum ne aapko, aap koi bhi sajaa do aapki har sajaa Ke laayak hai hum...
Humne to mangi hai sirf ek pyari si hasi.. Wo bhi na de pao to aapki tasvir dekh liya karege hum...
Bus bhagwan se yahi prarthna hai.. Uske sare gum hame dede khusi se seh lenge hum...
Mushkilo se bhari thi meri jindagi.. Jab se aap jindagi me aaye khusi se jee rahe the hum...
Zindagi me ho jaaye aapko humse nafrat.. To ek baar bata dena aapke liye duniya se chale jayenge hum...
Pata hai nahi ho Paoge aap hamare is janam me, agle janam me aap ka intezar karte rahenge hum...
Bus batana chahta tha apne dil ka haal is kavita Ke zhariye.. Maaf kar dena ho gayi koi galti mujhse ya is kavita me, bus mafi ki iccha rakhte hai hum...
Har taklif seh lenge by Bhavik Patel ©2014
No comments:
Post a Comment